Aadarneey Harsh Sir,
Namaskar,
Jitendra ki maut ki khabar sunkar mujhe gahra sadma pahucha hai kyonki mai uske saath vigat 5-6 maheeno se vyaktigat roop se juda hua tha, par mujhe jis ek aur baat se kafi aaghat pahucha hai wah yah ki aapne uske nam se jo ek apeal-numa patra apne kuchh mitron ko bheja hai (jo mere kisi mitra ne mujhe forward kiya hai) usme Jitendra ke bare me aadha hi satya likha hai jabki aap vigat 4-5 maheeno se jante the ki Jitendra ko T.B. hai. Char maheene pahle maine Varun aur Rajesh bhai ke saath milkar LNJP Hospital me uska ilaj shuru karvaya tha aur uske baad Jitendra March ke maheene me Sarai Basti Hostel me shift ho gaya tha .
Shuruaat ke kuchh dino tak hamare atirikt prayas se uska ilaj bhi chala par choonki aapki aur sangathan ki usme bilkul bhi dilchaspi nahi thi isliye baad me uske liye ek hi vikalp bach gaya tha ki wah Sarai Basti me pada pada apni maut ke din ginta rahe. Tabse lekar ek-do saptah pahle tak , jab use antim bar Kingsway Camp T.B. Centre me Sarai Basti ke kuchh bachhe akela chhod gaye ,Jitendra ke saath kabhi sammanjanak bartav nahi kiya gaya .
Isliye aapka yah likhna ardhsatya hai ki aspatal me bharti karaane ke thik ek din pahle wah New Delhi Railway Station par Track ke beech me pada mila tha. Mai ya mere jaise mitra jo achchhi tarah se un haalaat se parichit the jinse Jitendra lagataar sangharsh kar raha tha, we kabhi bhi yah kabool nahi karenge ki Jitendra ki maut ko mahaj ek dravit karne wali ghatna mankar thode nakli aansoo baha liye jaen aur sachmuch ki us badi gairzimmedari se bach nikla jae jo Jitendra ki asamay maut se saabit hui hai . Jitendra ki maut se kai aise sawal upaj rahe hain jinke jawab dene ki zimmedari se ham bach nahi sakte –
(1) March ke maheene me jab Jitendra ko Sarai Basti Hostel me shift karaya gaya to kya uske ilaj ke liye paryapt intajam kiye gaye the ?
(2) T.B. ke ek aise mareez ke liye jisne pahle hi jeene ki aas chhod di thi , us hostel me kya suvidhaen muhaiyya karai gayi thin ? Ham sabhi is baat ko jante hain ki Hostel me khana, paani, ilaj aur safai ko lekar kitni laparvahi barti jati rahi hai aur mareez ki baat chhod den vahan to samanya bachchon ke liye bhi hamesha infection ka khatra bana raha hai .
(3) Jitendra lagbhag teen maheeno tak Sarai Basti Hostel me raha aur is beech uske ilaj ko lekar jis bhayanak aapraadhik kism ki laparvahi barti jati rahi , is baat ko tamam purane saathi kabool karenge. Uske nam par jo doodh, phal aadi aate the use doosre log khate the aur uski dawaiyon ke paison se filmo ki CD mangai jati thi.
(4) Kya yah sach nahi hai ki apne ilaj me barti ja rahi laparwahi se Jitendra atyant dukhi tha aur usne hamme se zyadatar logo ko yah baat batai thi ki uska is sangathan aur Hostel Prashasan se poori tarah bharosa uth chukka hai – ki sabhi uske marne ki pratiksha kar rahe hain – ki wah khud ko bahut hi asurakshit aur akela mahsoos kar raha hai ?
(5) Jab zyada tabeeyat bigadne par use pahle LNJP aur baad me Kingsway Camp TB Centre bhej diya gaya to kya yah sach nahi hai ki uske saath jo Dilip nam ka bachcha hota tha caretaker ke taur par , use paani aur emergency ki dawaiyan khareedne tak ke paise nahi diye jate the aur wo bechara do-do dino tak mareez ke saath bhookha-pyasa hospital me baitha rahta tha.
(6) Agar aise haalaat me Jitendra Kingsway Camp se bhag kar fir New Delhi Railway Station aa gaya tha to uske pas iske alawa aur kaun sa vikalp tha ? Aur kya Jitendra hi akela aisa bachcha tha Sarai Basti hostel ka jiske saath aisa amanveey vyavhaar kiya gaya ? kya Aarif , jo Blood Cancer se peedit tha uske saath bhi yahi vyavhaar nahi hua aur baad me apni zimmedari se bachne ke liye use C.W.C., jise aap khud bachchon ke khilaf barbar karravai karne wali ek sanstha ke roop me batate rahe hain, ke hawale kar diya gaya?
Ye saare hi sawal atyant apriy lagne wale hain par kya ek aise vyakti ko jo bachcho- khaskar sadak ke bachcho ke liye behtar duniyan banane ke naare ke saath abhiyan chala raha ho , in sawalon se bach kar nikalne ka rasta diya jana chahiye ?
Aap likhte hain ki Jitendra jaise bachchon ki madad ke liye ek (street based) community health initiative turant shuru karne ke liye aapne ek plan taiyar kiya hai ……Tajjub hai… Jitendra ki maut sadak par nirashrit pade hue kisi bachche ki maut ki ghatna bhar nahi hai balki yah aise bachchon ke nam par desh-videsh se dhan lekar shuru kiye gaye hostel aur care and protection ke daave ke auchitya par bhi ek sawaliya nishan hai .Vastavikta to yah hai ki ab is naare ke peechhe ki asliyat khulkar saamne aa gayi hai aur zyada dino tak sadak ke bachchon ki ummeedon ke saath chhal karne ki ijazat kisi ko nahi di ja sakti. In zaroori sawalon ke jawab ab liye jane chahiye tabhi Jitendra jaise bachcho ko nyay mil paega .
Aapse ek baar fir mera yah nivedan hai ki aap please sadak ke bachchon ko unke haal par chhod den taaki we kam se kam jeewit to rah saken . Jabran in bachchon (?) ki madad karne ki aapki koshishon ne unka jeena doobhar kar diya hai .
Aasha hai aap anyatha nahi lenge .
Saadar,
Abhishek Sharma
(Aman Sathi)
Mob- 9312364054.
Email- <asdilse@gmail.com
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment