Monday 9 July, 2007

An Open Letter to Harsh and all concern persons

Aadarneey Harsh Sir,
Namaskar.

Yah sambhavtah mera antim patra hi hoga aapke liye kyonki aap jante hain Aman Biradari me jis tarah ke haalaat hain usme kisi seedhe-sachche aadmi ke liye na to pahle kam ke anukool sthitiyan thi aur na ab hai. Maine apne warishth sahkarmiyon ko jis bhayanak manahsthiti se guzarte aur aakhirkar apne sabse pasandeeda kam se khud ko alag karte dekha hai mai shayad uspar vishvas bhi nahi kar paata agar mera apna anubhav usse kuchh behtar hota.
Aapke saath judte waqt jis aadarsh ko maine apne jeevan ka aakashdeep banaya tha use khud aapne aur aapki chatukar mandali ne dharashayee kar diya hai. Aapke akushal margdarshan, nishthavan sathiyon ke sath chhal, keertan karne wale karmiyon ki taazposhi, sadak ke bachchon ke sath dhokha karne ki neeyat ( jo Sarai Basti ke anubhav ne sabit kar hi diya hai –(1) ki jo khana aapne sadak ke bachcho ko khilaya waisa khana aap apne bachcho ko kabhi nahi khila sakte the (2) Sarai Basti hostel ka ab ek saal poora hone wala hai par aajtak padhai-likhai, khel-kood, recreation, counseling, drug de-addiction jaisi gatividhiyan shuru nahi ho payi.(3) aaj tak hostel me sabhi buniyadi suvidhaen muhaiya nahi karai gayi jaise paani, toilet, bathroom, medicine wagairah. Jin bachchon ka swasthya zyada bigad gaya , jo ki hona hi tha, unse pind chhudane me hi aap aur aapki mandali apni qabiliyat dikhati rahi- kai bachchon ko aapne baal sudhar grihon me bhijwa diya pata nahi unme se kitne aaj jeevit bache hain.)
Maine hamesha yahan yahi dekha ki kabhi bhi karmiyon ko samay par mandey nahi diya gaya,jabki aap hamesha yah batate rahe ki AIF, DELHI GOVT. JAMAYATE-ULEMA-E-HIND se hame bharpoor paisa mil raha hai .Mai to fir bhi naya tha par mere purane sathi bhi kabhi yah jan nahi sake itna sara paisa aakhir kahan aur kaise kharch ho raha hai. Mujhe to kewal 2000 rs milte the par yahan tamam puraane sahkarmi jo Post Graduate the ya hain aur jinme se kuchh ke parivar bhi hain jo delhi me kiraye par rahte hain, ko kewal 5000 rs me 18-20 ghante kam karate hue bhi janwaron jaisa salook karma aapke nyaypoorn aur manveey duniya banana ke abhiyan ka kaun sa chehra hai yah aap hi behtar jante honge .
April ke maheene me , mai kabhi bhool nahi sakta,1 poorva Aman Sathi dwara ek 5 maheene se garbhavati,2 saal ke bachche wali nirashrit aurat ko Sarai Basti hostel me aashray dene par aapne jis tarah ka toofan khada kiya tha aur us saathi ko bagair sans tak lene ka mauka diye yah kaha tha ki us aurat ko fauran bahar nikalo usne mujhe hi nahi sare sathiyon ko dahla diya tha. Aapne aisi sthiti bana di thi jiske karan antatah us aurat ko dubara sadak par jana pada.Bachhon ki duhai dekar jo aashray aapne hasil kiya hai wahan se 2 saal ke us museebatzada bachche ko nikalne me aapne sari seemaen par kar li.Us aurat ka kya hua yah to pata nahi han un sathi ko aapne zaroor sangathan chhodne ko majboor kar diya jinki ekmatra galati yah thi ki we aapki tarah kathni kuchh aur karni kuchh ke siddhant se samjhauta karne ki bajay mit jana achchha samajhte the.
Aap jo soochna ke adhikar/gareebon ke adhikar/rozgar ke adhikar……..ke liye bat karte hain,aapse yah sawal hona chahiye ki jo log aapke saath 2 sal se /tak kam karte rahe unki sewa sharten kya hain/thi ?Yah spasht kyon nahi hai ?Kya kewal is bat ki suvidha ke liye nahi ki aap jab chahen kisi ko bula kar nikal saken? Maine suna hai ki Aman Biradari ek Trust hai.Kya aapne kabhi is Trust me Sewa-Sharton par bat/bahas ki ?Kya aap yah bata pane ki sthiti me hain ki Aman Biradari me sewa sambandhi sare nirnay kis prakriya ke tahat liye jate hain ?
8 maheenon ka mera jo anubhav hai usme mere liye ekmatra santosh hai ki maine bachchon ke sath kam kiya. Iske alawa daftar aur aapke prashashan ka anubhav nirantar yantrana dene wala raha. Sangathan ka prashashanik dhancha ekdam a-spasht hai. Sare nirnay jo Aman Biradari me hote hain- kya CES me tay hote hain ya kahi aur liye jate hain ? Is sambandh me koi pardarshita kyon nahi hai ?
Pichhle dino aap un sare logon ko jo field me kam karte rahe hain/the a-sthir karte rahe hain- tabadala karte rahe-sangathan se nikalne ko majboor karte rahe-yah karte hue kya aapne ek bar bhi un bachchon ke bare me socha jinke sath sambandh banane me salon ka waqt laga ?
Aapke sath ek to wah team thi-10-12 logon ki jisne sangathan ko khada kiya- doosri taraf ek bilkul nayi team hai jise aapne prashashak ki bhoomika me khada kar diya aur we baqi logo ko hankte-hankte sangathan se bahar tak hank aae ! Taajjub hai aap samoohikta ki bhi bat karte hain ! Lakh joojhne ke bawazood Aman Sathi ye nahi jan sake ki unki kanooni haisiyat is sangathan me kya hai-bhageedar ki- naukar ki ya kuchh aur ?
Aapke bat karne ka tareeka kabhi ek nahi raha . Kabhi aap akele bulakar bat karte hain, kabhi aapka prashashan akele bulakar bat karta hai-mujhe lagta hai ki ye sari baten sarvajanik mahatva ki hain, atah inhen logon ke samne aani chahiye . Aapko yah tay karna chahiye ki jo kam aap nahi kar sakte –ya nahi kar pa rahe hain, use aap nahi karenge . Aap adhik se adhik ek aksham prashashak ho sakte hain jisne cheezon ko uljha diya . Aap bataen ki vigat 2 sal me aap kitni baar bachchon ke beech shareerik roop se upasthit hue ? 8 maheeno ke darmyan aap mere field me kewal ek bar hi aae .
Kahne ko to itni baten hain ki ……… …par mai samajhta hun iska koi asar nahi honewala hai kyonki jahan agende par jhooth, swarthparta, chatukarita pahle se prathmikta ke sath upasthit ho wahan ek adna aadmi kya kar paega…………..kya kar paya hai aajtak?
Saartah itna kahoonga ki mai ab aage us andhi gali me jane se inkar karta hun jisme aap sambhavnasheel naujawanon ki ek peedhi ko, aur beghar-besahara bachchon ki sambhavnaon ko dhakelte hue liye ja rahe hain is vishvas ke saath ki aapke maseeha banne me ye qurbaniyan zaroori hain . Aapki yah jeet aapko mubarak ho………..Mai is campaign(?) se khud ko poorntaya alag kar raha hun.
Ant me mai aapse is bat ke liye mafi chahta hun ki mai ye patra sarvajanik kar raha hun . Par meri sadichchha is campaign ko bachane ki hai , isliye aisa karna meri majboori hai . Ek aam aadmi ke pas vuirodh ka isse ahimsak tareeka kya ho sakta tha ?
Saadar,
Abhishek Sharma
Aman Sathi.

Email-asdilse@gmail.com
Mob-9312364054.

No comments: