Friday 13 July, 2007

An Open Letter to All

Dear friends,
Namaskar.
DILSE campaign ki vastugat sthiti aur arajakta ko samne lane ke liye HARSH ke nam ek khula patra dete hue mai ek imandar uttar ki ummeed kar raha tha par abtak jawab me jo khamoshi hai usse zahir hota hai ki HARSH ko yah ehsas hai ki unki pratishtha kafi kam ya Shayad khatm ho chuki hai.
Mai yah spasht kar dena chahta hun ki is patra ke peechhe mera maqsad kisi vyakti vishesh ke viruddh abhiyan chalana nahi balki beghar bachchon aur auraton ke nam par AIF, DELHI GOVT., JAMEEYAT aur anya sroton se jo sarvjanik dhan aa raha hai, uske durupyog ko rokna aur DILSE campaign ko bachana hai.
Mujhe is bat par hairani hai ki 02 july,2007 se lagatar mere pas dhamki bhare gupt phone calls aa rahe hain aur yah kaha ja raha hai ki mai apna patra wapas le lun warna mera future tabah kar diya jaega. Mai in phone calls ka vivran upar karne ki koshish kar raha hun.
Yah mera dridh nishchay hai ki mai apni bat ko wapas nahi loonga . Hona to yah chahiye ki jinhen patra ki sachchai par bharosa nahi ho pa raha we swayam Sarai Basti hostel jakar wahan ki halat dekhen
aur doosre sabhi mamlon ke bare me purane sathiyon se bat Karen. Wastutah jitne bade paimane par gadbadiyan hain, patra se kewal unka aabhas-bhar ho sakta hai. Kya AIF ya doosre organizations ko, jo is abhiyan ko dhan muhaiya kara rahe hain, in mamlon ki sachchai ka pata nahi lagana chahiye ?
Ant me fir se usi bat par wapas aate hue kahna chahta hun ki mai apni bat par atal hun aur jinhen patra par bharosa nahi hai we samne aakar meri baton ko galat sabit Karen.
Aadar sahit,
Abhishek Sharma
Aman Sathi,
Aman Biradari, Delhi.
Email-asdilse@gmail.com
Mob-9312364054.

No comments: