Wednesday 18 July, 2007

Dear Dost Varun aur mere ajeez dosto,

Namaskar,

Do dinon pahle Jitendra ki dukhad maut ki soochna mili. Vyaktigat roop se maine kya khoya hai yah bata pana mere liye muskil hai. Un abhage aur sharmshar kar dene wale do-teen logon me mai bhi shamil tha jinhone pahle pahal LNJP Hospital me Jitendra ko dakhil karate hue use yah bharosa dilane ka apradh kiya tha ki ham TB se uske anthak sangharsh me hamesha uske saath khade honge. Haalaanki tab mujhe bilkul bhi guman nahi tha ki apne khoon-paseene se seenchkar jis abhiyan ki ham buniyad rakh rahe hain uska kewal gumbad hi prakashman ho raha hai aur roshnee ko neeche tak laane ke liye betab haathon ko jad se alag kar dene ki waseeyat hai.

Dhoomil ne " Akaal" shirshak kawita me ek jagah likha hai.......".Bachche hame Basant bunne me madad dete hain"......sachmuch bachche ek bahut bade bazar ka hissa hain. Sabhi unki sambhavnaon ki taskari karne me lage hain . Ek badi jamat hai jo seedhe bachchon ka vyapar kar rahi hai to doosri taraf ek usse bhi badi aur zyada khatarnak jamat hai jo unka sanrakshan karne ke nam par unka vyapar kar rahi hai .Bhayanak baat yah hai ki ye jamat zyada sangathit, aarthik roop se zyada samriddh hai aur sabhyata ke mahan aadarshon evam naitikta ke sabse aakramak aur chakachaundh paida karne wale naaron-daavon aur udghosh ke sath bachchon ke upar jaise toot padi hai..............BACHCHE UNHEN BASANT BUNNE ME MADAD DETE HAIN.

Pyare dosto, mujhe maf karna, ki mai pahle se hi bhayanak haalaaton me phanse (ya Pablo Neruda ke shabdon me - "patthar aur patthar ke beech") bachchon ki zindagiyon ko aur kathin......aur asahneey bana dene wali us sazish me shamil tha jo DIL SE ke nam par chal raha tha aur jari hai. Yah sach hai ki maine vastavikta ko anubhav karte hi khud ko abhiyan se alag kar liya tha par kya isse hi mai un tamam apradhon se mukt ho jaunga jinki kali chhaya hamesha apne wazood ke ird-gird mai mahsoos karta hun ? Meri tarah hi kya mere aur doston ka antarman unhen is baat ke liye nahin kachotata hoga ki kyon hamne un bachchon ke dilon me aisee ummeeden jagain jinhen poora kar sakne ki kuvvat hamme kabhi thi hi nahi . kya hame apne dil par haath rakh kar ek bar yah nahi kabool karna chahiye ki ..............pyare bachcho ham jinhen tumne tootkar pyar kiya-ham asal me jhoothe, makkar aur avval darze ke chalak log the......aur ye hamin hain....jinhone Jitendra ko Sadak se uthakar Hospital-Hospital se uthakar Sarai Basti- Sarai Basti se uthakar Kingsway Camp laate le jate rahe.........thik waise hi jaise koi pocketmar pocket se perse nikalne ke baad tabtak us perse ko dhota rahta hai jabtak us perse ko wah poori tarah khali nahi kar leta.........aur is beech Jitendra ke haalaat badle nahi kyonki yah hamara sarokar bhi nahi tha ............kyonki hamara zyada dhyan un deshi-videshi dhankuberon ki taraf tha jinki kripadrishti se ham raton-rat maalaamaal hote rahte hain.........aakhir isi din ke liye to ham har roz har pal apni aatmaon ko maarte rahte hain....... Jitendra Track ke beech leta maut ki baat joh raha tha , wah kyon Sarai basti me marna tak nahi chahta tha.....koi poochhe bhasha ke bazigaron se, jo duniya ke lupt ho rahe shabdkosh ke sabse komal aur lagbhag pighla denewale shabdon ko bhi apne kutsit iradon ke liye istemal kar le rahe hain........jo bhayanaktam apraadh kar chukne ke bad bhi nidar aur nirbheek hokar kahne ka madda rakhte hain ki we to bilkul pak-saf hain..... ki unke alawa is duniyan me aur koi bhala kaise nirdosh ho sakta hai.....we itne nirdosh hote hain.......ki hamesha anjan hi rah jate hain......ya khuda. Varun mere bhai, apne ko kamzor na hone den . Jitendra ki maut ka koi rahasya nahi hai..........jo haalaat the sabke saamne the- jo haalaat hain we bhi sabke saamne hain.....han kuchh log is maut ko ek rahasya ki tarah pesh karenge........aise logon ki pahchan karne aur unki nazron me nazren daalkar unke chhipe hue daant aur naakhoon baahar nikalne ka yahi waqt hai taaki fir koi Jitendra har badhe hue haath ko maut ka haath na samjh le. Jitendra koi pahla nahi tha.........kitne hi the aur hain bhi jinhe bachana hoga maut ke saudagaron se.....hame apne dam par hi aage badhna chahiye. Is mushkil ghadi me mai har qadam par aapke aur un sabke bhi jo sachmuch bachchon ke paksh me khade hain ,saath hun. Aapka

apna,
Rajesh Chandra
Mob-9871223317.

No comments: